Add a comment
Saturday, 26 Safar 1433
Saturday, 21 January 2012 10:29Goongi ho gayi aaj kuchh Zuban kehte kehte.............
Hichkicha gaya main khud ko Masalman kehte kehte...
Ye baat nhi ki mujhko uspar Yaqeen nhi....................
Bus dar gaya khud ko Sahib e Iman kehte kehte.......
Taufeeq na hui mujhe 1 waqt ki Namaz ki..................
Aur chup hua Mu'azzin azan kehte kehte..................
Kisi kafir ne jo poochha ye kya hai Mahina...............
Sharam se pani hua main Ramzan kehte kehte.......
Meri almari me gard se ati Kitab ka jo poochha........
Main gad gaya zameen me Qur'an kehte kehte.......
Ye sun ke chuppi sadh li Iqbal usne.......................
Yun laga jaise ruk gaya ho mujhe Haiwan kehte kehte...
Last Updated ( Saturday, 26 Safar 1433 10:44 )
Add a comment
| < Prev | Next > |
|---|



